Top 5 Share Market Book In Marathi 2024: Doston, share market ek aisi jagah hai jaha market kabhi upar jaata hai aur kabhi niche girta hai, bilkul ek roller coaster ride ki tarah. dosto share market ki Ye duniya un logo ke liye bahut hi exciting hai jo isse paisa kmana chahte hai. Kuch log share market me bahut paisa kamate hain, toh kuch apne saare savings kho dete hain. Lekin, agar aap bhi un logon me se hain jo share market me apna career banana chahte hain, toh yeh article aapke liye hai.
Agar aap ek naye investor hain aur share market ke basics seekhna chahte hain ya phir ek experienced investor trader hain jo apni strategy ko sudharna chahte hain, toh yeh Top 5 Share Market Book In Marathi 2024 aapke liye bahut hi madadgar sabit ho sakti hain. Aaj hum aapko kuch behtareen share market Marathi books ke baare mein batayenge jo zyada se zyada investors aur traders ko pasand aayi hai. Yeh books aapko profit kamane aur business ke zariye wealth banane me madad karengi, wo bhi aapki apni bhasha marathi me.
Doston, jab aap apni matrabhasha jaise Marathi me share market ke baare me padhte aur samajhte hain, toh complex cheezein asani se samajh me aane lagti hain. Aap unhe acchi tarah se yaad bhi rakh paate hain. Marathi books ke zariye aap un topics se zyada connected mehsoos karenge jo aapko interest dete hain.
Yaha hum un share market Marathi books ke baare mein baat karenge jo internet par investors aur traders dwara sabse zyada pasand ki gayi hain. Ye books aapke stock market journey ko ek naye level par le jaane me madad karengi.
#1. The Intelligent Investor Marathi
Doston, hamari list ki pehli book hai “The Intelligent Investor“. Yeh duniya ki sabse mashhoor share market book mani jaati hai. Benjamin Graham dwara likhi gayi yeh book sabse zyada bikne wali kitab hai. Benjamin Graham ek mashhoor investor the jinhone Warren Buffet jaise bade investor ko share market ka gyaan diya tha.
Yeh kitab primarily American stock market ke baare me hai, lekin iske chapters kisi bhi share market me useful ho sakte hain. Benjamin Graham ne apne anubhav share kiye hain jisse investors ko safe investment karne ke tareeke pata chal sake.
- Book Name: The Intelligent Investor
- Publisher: Manovikas
- Language: Marathi
- Author Name: Benjamin Graham
Doston, yeh book Maheshchandra Kaushik dwara likhi gayi hai jo retail investors ko dhyan me rakhte hue likhi gayi hai. Maheshchandra Kaushik ne investment ke complex aspects ko simple language me explain kiya hai. Is book me aap seekh sakte hain kaise sirf ₹100 ka investment 20 saal me ₹7,18,03,722 ban sakta hai.
Yeh kitab un sabhi investors ke liye upyogi hai jo share market me profit kamaana chahte hain. Kitab ke principles ko follow karke aap share market me nuksan se bach sakte hain aur apna profit maximize kar sakte hain.
- Book Name: Share Bazaratun Paise Kase Kamvave?
- Publisher: Saket Prakashan Pvt. Ltd.
- Language: Marathi
- Author Name: Mahesh Chandra Kaushik
#3. Intraday Trading: Stock Option Technical Analysis & Investing
Agar aap actively share market trading karte hain, toh yeh book aapke liye perfect hai. Yeh kitab investing, trading strategies, intraday trading, aur technical analysis ke tareeke sikhati hai. Kitab ke author, Indrajit Shantraj, khud ek 10 saal ka anubhav rakhne wale intraday trader hain.
Read Also: {5+} Top Price Action Book in Hindi PDF Free Download
Is book me aapko share market ke most aspects ke baare me detailed information milegi. Yeh kitab Marathi aur English dono languages me uplabdh hai, jo ki ek worthy alternative sabit ho sakti hai.
- Book Name: Intraday Trading: Stock Option Technical Analysis & Investing
- Publisher: Saket Prakashan Pvt. Ltd.
- Language: Marathi/English
- Author Name: Indrazith Shantharaj
Doston, market me paise kamane ke liye kai books uplabdh hain, lekin fir bhi 80% se zyada chhote investors ko nuksan uthana padta hai. Yeh book simple language me likhi gayi hai jisme aapko strong stocks choose karne, shares kab kharidne aur kab bechne aur nuksan se bachne ke baare me valuable information milegi.
- Book Name: Share Market Madhe Nuksan Kase Talawa aani Shrimant Kase Vhawe
- Publisher: Madhushree Publication
- Language: Marathi/English
- Author Name: Prasenjit Paul
#5. Intraday Trading + Technical Analysis Candlesticks Marathi Books
Doston, yeh dono books unke liye perfect hai jo trading me interested hain. Trading ek short-term investment hai, aur iske liye technical analysis ka pura gyaan hona zaroori hai. Trading bina technical analysis ke bahut nuksan kar sakta hai, lekin yeh dono books ka combination aapko intraday trading me expert banane me madad karega.
- Book Name: Intraday Trading + Technical Analysis Candlesticks Marathi Books
- Publisher: Buzzing Stock Publishing House
- Language: Marathi/English
- Author Name: Ankit Gala, Jitendra Gala, Ravi Patel
Conclusion
Aaj ke blog me humne kuch behtareen share market books ke baare me discuss kiya jo Marathi bhasha me uplabdh hain. Yeh books naye aur purane, dono prakar ke investors aur traders ke liye faaydamand hain. Agar aapke mann me koi sawal hai toh hume comment karke puchh sakte hain. Hum aapko 1 din ke andar jawab denge. Dhanyawad!